Breaking News

Kisi English Book Ko Hindi Me Live Translate Kaise Kare?

How to Translate english book in hindi with Google Translate app free? 

Hello friends mai hoon satyam aur ap hai India Smart Help ki website par mai apka welcome karta hoon aur aj hum janenge ki kaise kisi english book ko ap completely hindi me translate kar sakte hai vo bhi live apne mobile me camera ke jariye yadi ap ek student hai to ye apke liye kaphi kaphi helpful hoga aur mere khyal se apko ye jan lena chahiye yadi apka english weack hai to don't worry mai apko eska bhi solutions bataunga aur i hope ki apka ye problem kaphi had solve ho jayega. 

How to translate english book in hindi live

Kisi Bhi English Book ko Hindi Me Live Kaise Translate Kre? 

Friends ye jo trick hai wo Google Translate app par adharit hai ye har un students ke liye usful hai jo apne English ko perfect banana chate hai kabhi kabhi aisa hota hai ki hum koe book read karte hai to yadi usme kuchh deficalt english sentence aa jate hai to usmka matlab nikalna unke liye muskil ho jata hai jiski English thodi weack hai but ye Google Translator app apke liye magic kar dega bas ap us word ke samne apne camera ko le jaeye aur apke samne live results hindi me paeye. 

Google Translator app kaise work karta hai? 

Friends Google Translator app kuchh basic par kam karta hai emse kuchh requirements hai 

1st = apka phone 4.2.1 jellybean 4.4.1 kitkat ya 5.1.0 lalipop, 6.1.0 marshmallow, 7.2.1 Nought hona chahiye 

2nd =Apke phone me Google Translator app install hona chahiye wo latest 

3rd = Apke Google Translator app me Hindi Offline package install hona chahiye 

Ab mai apko ye sabhi step fully guide karunga

Google Translator App ke Feature kya kya hai? 

Friends Google Translator app me apko bahot sare useful options mil jate hai

1st =Sabse pahla aur sabse khas kisi Google Translator app se world ka koe bhi language kisi bhi language me translate kar sakte hai wo bhi offline 

2nd = Dusra aur khas ki ap esme apne preferred language me bol kar bhi asani se translate kar sakte hai ye options ap taping ki tarah use kar sakte hai jaise apko kuchh typing karna hai simply ap boliye aur ye Google Translator sab kuchh correctly type kar dega 

3= Ap apne handwriting karke translate kar sakte hai aur mobile ka SMS translate kar sakte hai

4= Ap simply koe bhi book ya koe printed word translate kar sakte hai wo bhi apne camera ka use karke 

5= Esme ap ko emails, Sms, chat, books, ebooks, typing, text to speech etc. Options use kar sakte hai

6= Last aur sabse khas Google Translator App me ye options mujhe sabse khas lga ki ap koe bhi story chat ya email, book ko copyaur paste karke directly use play karke girl voice me sun sakte hai ea tarah se yadi apko kuchh padna hai to apko padhne ki koe jarurat nhi bas us book ke sare pages ko copy kijiye aur paste kijiye aur ap simply girl ki voice me sooon sakte hai. 


Google Translator app install kaise kre? 

1>>> Sabse pahle apko playstore jana hai aur search bar me type kijiye Google Translator aur sabse first wala app install kar lijiye ya phir ap simlpy es link par click karke Install kar sakte hai


Note - Ye trick fallow karne ke liye apko 80-100 M.B mobile data ki jarurat hogi.

2>>> Install ho jane ke bad ap simply open kijiye aur apke samne uska interface kuchh es prakar hoga

www.indiasmarthelp.in


Simply ap apna offline package download kar lijiye jaise apka translation language hindi hai to simply hindi select karke download kar lijiye hindi ka offline pakage 32 mb ka hai jise ap aaram se download kar sakte hai. 

3>>> Download ho jane bad ap copy to Translate on karna hai simply on karne ke liye home par jaye 


Tap to translate par click karna hai jaise picture me dikhaya gya hai

Sipmlpy click karke on kar lijiye ab jab koe bhi hindi ya English ya phir koe other language ka text copy karenge to apke samne quick translate ko option aa jaayega


Simply ap Translate icon par click karke translate kar sakte hai

4>>> Ab apko English book translate karne ka tarika janana hai to chaliye jante hai 
To sabse pahle ap Google Translator ke hone page par jaye aur ap simply camera icon par click kijiye aur apka camera on ho jayega ab ap simply ap jise translate karna chahte hai simply us book ya koe bhi english write kiye word ke samne apna camera le jaye

Ab simply aur apna word screen me fit kar le aur pic click kar le ab apka image scan hoga 20sec.  Se 50sec. Me apka results apke samne aa jayega ap chehe to hindi me speech sun sakte hai.

Dosto jaisa ki maine apko bataya kaise apne smartphone me kisi bhi word ko hindi ya kisi bhi language ko hindi me translate ya kisi english book ko hindi me translate kar sakte hai.

Asha karta hoon ki ye post apke ke liye kaphi helpful rahegi yadi apko pasand aaye to plz ese facebook par jarur share kare

Yadi apko es post se related koe saval ya sujhav ahi to plz hume comment box me jarur bataye.

                                        Thanx for reading.....!! 


No comments